Sunday, March 18, 2012

Sent Ki, Kajley Ki, Aur Ghaazey Ki Gulkaari Ke Baad

Sent Ki, Kajley Ki, Aur Ghaazey Ki Gulkaari Ke Baad
Wo Haseen Lagti Hai Lekin Kitni Tayari Ke Baad

Muddaton Ke Baad Us Ko Dekh Kar Aesa Laga
Jese Roza-Daar Ki Haalat Ho Aftaari Ke Baad

Baandh Kar Sehraa Nazar Aaya Hai Yun Nosha Miyan
Jis Tarha Mujrim Dikhai Deta Hai Giriftaari Ke Baad

Heroine Pachpan Baras Ki Ho Chuken To Gham Nahi
Ab Gulukaari Karengi Wo Adaa-Kaari Ke Baad

Qaum Ko Baidaar Ker, Disco Music Cher Kar
Jo Bechari So Chuki Hai Raag Darbaari Ke Baad

Eid Par Masroor Hain Dono Miyan Biwi Bohot
Ik Khareedaari Se Pehle, Ik Khareedaari Ke Baad

Uqd-e-Saani Ka Maza Poocha To Bole Sheikh Ji,
Aese Lagta Hai, Chicken Chakkha Hai Tarkaari Ke Baad

Raah-E-Ulfat Ki Traffic Ho Ke Motor-Way Ki Ho
Haadsey Hote Hain Shahid, Taiz-Raftaari Ke Baad

Sarfaraz Shahid

No comments:

Post a Comment